Mujh ko Jannat Jahaan Ye Lagta Hai

Written By:- Hameeda Bibbo

Chen milta hai teri bhanhon mei,
Mujh ko jannat jahaan ye lagta hai..!

Tu mere paas jab bhi hotaa hai,
Kun jahaan ye haseen lagta hai..!

Ye zameen aasmaan lagti hai,
Aasmaan ye zameen lagta hai..!

Ta qyaamat mei to so jaaun,
Mujh ko kun aaj aesaa lagta hai..!

Jabbhi tu mere paas dikhta hai,
Saraa alaam nashaa ye lagta hai..!

Bibbo na pyaar kar tu etna use,
Jo jahaan mei juda sa lagtaa hai..!!!

If you like this shayari, Please like and share on Facebook

 
   

Please Like MailShayari on Facebook

Mail Shayari on Facebook

Leave a Reply