Kyon Ki Tune Dil lagi Sanam

Written By:- Hameeda Bibbo
Dil laagi tune to ki mujh se sanam chahaat mei,
Mere armaan mere jaazbaat naa jane tune..!

Tu bhataak taa rahaa gearon ka sahaaraa lekar,
Mere dil ko meri chahat ko na janaa tune..!

Dil tere pyaar ka pyaasa tha, pyasaa he sanam,
Mitgaye ham, teri khatir ye na janaa tune..!

(Bibbo) karti rahi taa-umar wafaayen tujh se,
Kyon na pehchanaa mere ishq ko zalim tune..!

Author: ShineMagic

1 thought on “Kyon Ki Tune Dil lagi Sanam

  1. Utha tadke savere jab to dekha saam aayi h, unhi ke hi isharo pe ghata ghanghor chhayi h. Dilo me pyar ki kasti jhume yu majhdharo me fikr me na raha ye dil pahuchana hai kinaro me. laga jaise jamana jhumta mahjabi fijao me wo mere dil ka h tukda chamakata hai sitaro me. Ussi me must mai rahata fikar na thi jamane se phatakata pass mai uske na jane kis bahane se. Palat ke dekh le mujhko to rangi ye najara ho siwa tere mere dil ko na ab kuch bhi gawara ho. Karu kya bandgi teri falak pe jo tu aayi h khila ke phool is dil me tu megho si jo chhayi hai…………… Jala kar ”deep” roshan kar tu dil ki andhkari ko mujhe bhi de koi esi ”ARU” si rat rani ko. Tera milna mere dil ko n jane kyu bechain karta hai na dekhu jab kabhi tujhko ajab sa dard hota h.samajh me na raha mujhko ki ye sab majra kya hai tadpta hai teri khatir iski saja kya hai. ki puchha dil se jo maine kiya ye kis kader tune khata teri nahi najaro ki h kaha dil ne mujhse. jami se aasma tak ki bahare chumata rahta fikar na kar e mere dilhumesa dil se mai kahta. khabar kuch bhi n thi mujhko ye logo ki jubani h ki khoyega tu ab kya kya nasibo me jo payi hai . khuda itna bata de aaj kya ye khwab jaisa h tu har hal me itna bata mera yar kaisa h. kya teri iss krity ki bhartsana sansar karta hai jo mujhse chhinte ho khiluona jo dil ke pass rahata h. kabhithodi si chahat jo kabhi usne kiya hota to ese iss kadar dil ki jubani mai nahi kahata. milega waqt to puchhunga bata meri saja kya hai kisi tu gair ki khatir diya mujhko saja kya hai. tu mat bhool e nadan ki tere ranjo gam dil kimitaya hai to bas maine khilayahai to bas maine teri beete huye lamho ki yadey gungunati hai ki tujhse dur ho ke dhadkane kuch ruk si jati h. mai besaq dur hu tumse sadaye yaad aati hai bisarna tujhko jo chahu kayamat ek sath dhati hai. chhalak padte the jo aasu bichhadne matr sunne se janaje par the woaaye najar thi aashiyane pe . na koi kar sakega is jaha me pyar mujh jaisa na koi ab chadhega pyar ki badi par mujh jaisa. kadkati h jo bijali aasma se tutkar girti njami ka hi sahara h gale jab ruswayia padti. dhadkate dil ki jo dhadkan dhadak ke toot jati hai waqt kitna bura ho isuq me pichhe chhut jati h. kabhi to yaad aayegi unhe meri kahani ki bhari mahfilme ho tanha baat apni bemani ki . mile chaino suku dil ko ki tujhse aarju itni dhike na mujhko wo ab se umar bhar chand suraj ki ……………….chala chal dur tu ye dil jaha na ho nisha baki pila do ghoot jamo ke mere hum du mere saki…
    HUM TO AKELE THE AKELE HI RAH JAYENGE
    PAR YAADO KE NISHA CHHOD JAYENGE
    DHHUDHHATE RAHOGE PAR HUM NA MILENGE
    ITANI DUR ITNI DUR CHALE JAYENGE

Leave a Reply

Your email address will not be published.