Kya Ab Bhi Meri Yaad Satati Hai

From:- Indresh Tiwari

Kya ab bhi meri jhalak khwab main nazar aate hai tumhe,
Kya meri har yaad ab bhi raat bhar jagati hai tumhe..!

Har andhera tumhe mujh tak kheench lata tha,
Kya ab bhi koi roshni is tarah bulati hai tumhe..!

Mera har raaz tumhe hawa hi bata jati thi,
Kya ab bhi khushbu mere paigham sunati hai tumhe..!

Meri taqlif per wo aankh main aansu jana,
Kya ab bhi meri koi baat rolati hai tumhe..!

Tumhara har jazba, tumhari aankh mujh se kah deti,


Kya ab bhi wo kuch na kah kar har baat batati hai tumhe..!

Har awaz pe tumhe mere aane ka hota tha gumaan,
Kya ab bhi koi aahat yuh satati hai tumhe !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.