Woh Chaand Ka Humsafar Hai

Woh muj se hi milta julta hai
Dil ka bura hai aur na bewafa hai
Lafzoon ki hadoon se maora hai
Abkis se kahon woh shakhs kia hai

Woh meri ghazal ka aaina hai
Har shere mera use janta hai
Rag rag main us ka tazkara hai
Aur dil main woh bas raha hai

Main us ki ana ka aasra houn
Woh muj se kabhi naheen routhta hai
Main dhuop k ban main jal raha tha
Woh saya e abr ban geya hai

Kabhi bichra na mila hai lekin
Lagta hai azl se janta hai
Kuch bolta hai na pouchta hai
Aisa naheen k laboon ko see liya hai

Woh chand ka humsafar hai shayad
K chandni main muj ko sochta hai
Kahne ko juda hai muj se
Par meri ragoon main gunjta hai

Lagta hai k woh hai kuch pareshan
Yeh jee mera tabhi rohansaa hai
Ek khoof sa hijr ki rutoon ka
Donoon pay moheet ho chala hai

Main bhi dara dara sa houn lekin
Rahg us ka bhi ura ura sa hai
Ek rah se main bhi gureza houn
Ek moor par woh bhi ruk gaya hai

Ek pal ko kia jhapki aankheen
Manzar wohi khawab dusara hai
Sochoon toh tahir jate hain zamane
Dekhon toh woh doour nikal geya hai

Qadmoon se zameen sarak gai hai
Surag ka rang bhi sanwala hai
Jalte huwe sans rok gaey hain
Thaira huwa jism lagta hai

Sahmain huwe pair kanpte hain
Patoon main heraas ringta hai
Lagta hai jis main khawab theey mehfooz
Woh kanch ka ghar chatakh raha hai

Ham donoon ka dukh aik jaisa hai
Ehsaas bas juda juda hai
Kal shab jo khush tha khawaboon main
Din main kion udaas lag raha hai

Aisa lagta hai us ki aankhon main
Dukh ka badal koi bhara huwa hai
Us k bechain getoon se ab
Mere ashaar ka shehar gunjta hai
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.