Urdu Ghazal In Hindi

Aey mouj_e_karam muj ko phir soey huram ley chal
Dard gham_e_farqat se aankheen hueen nam ley chal
Har lahz rahti hay rahmat ki ghata jis par
Bahta hay jahan har dam darya_e_nahum ley chal
Ek sagar_e_shaken phir zam zam se bhar doon ja kar
Kab tak main piye jaoun talkhiyan_e_gham ley chal
Us khaak k zaroon ko aankhon se lagana hay
Jis khaak ne chumeen woh pak qadam ley chal
Ashkoon k sitarey hain, ahoon k sherarey hain
Saman rah_e_ulfat ka kiya kuch hay baham ley chal
Ek mouj_e_gham wa hurma jari hay rag wa pey main
Darmana_e_manzel hay yeh khasta qadam ley chal
Qesa_e_gham hasrat ka,dhukhra_e_gham milat ka
Kahna hay mujhye un se badekham ley chal
Afaat ne taka hay alaam ne ghaira hay
Jaan tang hay seney main,ghutne laga hay dam ley chal
Ashkoon ki zubani sab kah daloun ga haal_e_gham
Hontoon pe machalti hay ro dad_e_alam ley chal
Lena hay phir us dar se yeh dars azemat ka
Kis tara mitani hay bunyad_e_sitam ley chal
Rehmat jo bharam mera rakh ley to kiya ajab hay
Sar baar_e_nadamat se mudat se hay kham ley chal
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.