Haal-E-Ayyam

From:- Kabir Shayer

Behte ashk naino se chere pe koi dekhta nahi,
log hamste hue chehron ko dua dete hain..!

Tasawwur bhi ab dil nahi behlate,
Khwabon me log be matlab saza dete hain..!

Sach ka gala ghonta jata hai,
Log jhoot ko sar ka taj bana lete hain..!

Padosi ka khyal rakhna to door ki baat hai,
Log apne hoker ,apno ko dhoka dete haim..!

Zaalim ke sabhi hain tarafdaaar yahan,
Log begunahon ko saza deta hain..!

Dil me hain nafraton ke charag jalte hue,
Chehron par unki roshni tak aane nahi dete..!

Nahi raha ab zamane me baaki kuchh bhala,
Pareshaniyon me saath chhod dete hain..!

Nagawar guzra mujhe ye zamana ‘kabir’
Hakeem banker log zakhm hazaar dete hain..!!!
Kabir_shayer@yahoo.com

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.