Guzre jo na-gawaar woh

Guzre jo na-gawaar woh harkat nahin hui,
Mere aduu ko mujhse shikayat nahin hui..

Jab tak kisi hasiin se mohabbat nahin hui,
Hamko sitam uthane ki aadat nahin hui..

Hamne to unke naam pe bheje the khat pe khat,
Unko jawaab dene ki fursat nahin hui..

Chehre pe ik haseen ke thehri rahi nazar,
Ankhon se aur koi shararat nahin hui..

Jisko hara diya tha woh apna hi bhai tha,
Hokar bhi fatha-yaab musarrat nahin hui..

Har ek ki zubaan pe hamara hi naam hai,
Badnaam jo huwe tou kya shohrat nahin hui..

Zaalim ka saath dene ko aaye tamaam log,
Mazloom par kisi ki inayat nahin hui..

Tashna-labi ke waqt jo yaad aayi karbala,
Mehsoos mujhko pyaas ki shiddat nahin hui..

Paisa na tha jahez mein dene ke waaste,
Beti ghariib baap ki rukhsat nahin hui..

Auron ko maarne ke liye khudkushi na kar,
Yeh buzdili ki maut shahadat nahin hui..

Mehnat ke sath-sath ibadat bhi kijiye,
Mehnat nahin hui tou ibadat nahin hui..

Dost leke aa gaye is waste ghazal,
Kehte the log aapki shirkat nahin hui..

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.