Gam-E-Hijraan

From:- Sikandar Khan

Yaa Rab ! Gam-E-Hijraan Mein itna To Kiya Hota,
Jo Haath Jigar Pe Hai Wo Dast-E-Dua Hota..!

Ek ishq Ka Gam Aafat” Aor Us Pe Ye Dil Aafat,
Yaa Gam Na Diya Hota Ya Dil Na Diya Hota..!

Gairon Se Kaha Tum Ne” Gairon Se Suna Tum Ne,
Kuchh Ham Se Kaha Hotaa Kuchh Ham Se Suna Hota..!

Umeed To Bandh Jaati Taskeen To Ho Jaati,
Wada Na Wafa Karty” Wada To Kiya Hota..!

Nakam-E-Tamanna Dil Es Soch Mein Rehta Hai,
Yoon Hota To Kya Hota” Yoon Hota To Kya Hota ? !

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.