Ek Kwahish Honi chahiye

Kabhi kabhi mohobbat me, aazmaish honi chahiye,
Bepanaha mohobbat me, takrar ki gunjaish honi chahiye…

Rahte hai jo hijab me parde ke paband hamesha,
Kabhi kabhi Husan-E-Jahan ki numaish honi chahiye…

Rahte hai safedposh jo benaam mehfilon me naamwale,
Unko benakab karne ki, ek choti si sazish honi chahiye…

Kab tak parwane hi jale shamma ki hasraton me,
Kabhi unse bhi to, ishq ki farmaish honi chahiye…

Khushk ankhon se jiye zindagi jo bezari se jahan me,
Gum ho ya khushi ki qatir, ashkon ki barish honi chahiye…

Har aarzu hoti hai puri ek na ek din duniya me,
Jo qayamat tak na ho puri, Ek aisi Kwahish honi chahiye..

Author: ShineMagic

1 thought on “Ek Kwahish Honi chahiye

Leave a Reply

Your email address will not be published.