Bandagi

Shukar hay RAB_e_kainaat ! k main,
Shaeri k asool janta houn..!

Jitne bhi khawab dekhta houn tere,
Apni palkoon se un ko chanta houn..!

Jab fareshte kaheen mujhye insaan,
Fakhar se apna sena taanta houn..!

Main houn teri haseen tar makhloq,
Sari duniya ki main sahanta houn..!

Yeh karam tere isliye hain k main,
Tuj ko RAB KAREEM manta houn..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.