Ek Teri Mohabbat ki Khatir

Main ne har kanta Teri rah ka palkon se chuna,
Loog kahte hain Main dushman houn tera..
Tu ne suna

Jane kya soch ke har zulm rawa rakha hay,
Kya main pathar houn
Jo qadmon main saja rakha hay..

Main ne rakha hay faqat
Apni mohabbat ka bharam
Warna harjayi tere pyaar main kya rakha hay..

Bewafayi ka gila lab pe naheen laoun ga
Tu muqadar main naheen,
Dil ko yeh samjhaon ga..

Haal dil sunne ki shayad tujhye fursat na mile
Teri duniya se bohot duur chala jaoun ga..
From :: Saba Sagar

If you like this shayari, Please like and share on Facebook

 
   

Please Like MailShayari on Facebook

Mail Shayari on Facebook

Leave a Reply