Aor Wo Duniya Dekhta Raha

From:- Sikandar Khan

Tanhaie mein ajeeb zamane ki wafa dekhta raha,
Umar bhar apna ghar tanha dekhta raha..!

Kahin na kahin to badel he jate hain silsile,
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha..!

Jane kiun Qatrate hain log mujhe milne se,
Kal shab dair talak aayina dekhta raha..!

Pani mangte magte mere hont pathar ho gaye,
Woh shaks mashkiza liye kharra dekhta raha..!

Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye huye,
Sitam-gar k sitam ki intiha dekhta raha..!

Umar bhar mohabbat ka kuchh yoon silsila raha,
Main use or woh duniya dekhta raha..!

Kahon ga KHUDA se yom-e-hisaab ko MOHSIN,
Keh zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha !!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.