Mai Aisa Kyon Hoon Shayari

Kyun khush ho jata hun mai tumhari khushi dekh ke,
Kyun ho jata hoon main hatash tumhein udhas dekh ke..!

Chehak sa uthta hoon main kyun jab milne ki baari aati hai,
Par kyon milne ke baad ghanto nind nahin aati hai..!

Aankhein band karne se kyun yaad tumhari aati hai,
Par jab khulti hain toh kyon phir tu saamne aati hai..!

Aansoo tere tapakte hai to main kyon sisakta hun,
Zara sa tu hasti hai toh main kyon nikharta hoon..!

Jab bhi dekhta hon tumhein bas yeh sochta hun,
Puchun tumse ya tumse kahoon rakhun dil mein ya yeh baat keh doon..!

Sun zara bas itna bata
Main aisa kyun hoon
Main aisa kyun hoon..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.