Kuch Keh Nahi Sakta

From:- Saba Sagar

Benaam musafir hoon benaam safar mera,
kis rah nikal jaon kuch kah nahi sakta..!

Benaam meri manzil benaam thikana hay,
Kis dar pay main ruk jaon kuch kah nahi sakta..!

Iss paar to roshan hay sara mera rasta,
Us paar andhera ho kuch keh nahi sakta..!

Tinkay ki tarah main bhi beh jaon,
Samandar main mil jaye ga kinara kuch keh ahi sakta..!

Mil jaye gi tahbeer mere khawaboon ki ek din,
Ya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.