Teri Surat

From:- Saba Sagar

Teri surat nigahoon main phirti rahe,
Ishq tera sataee to main kiya karon..
Koi itna to aa kar bata de hameen,
Jab teri yaad aee to main kiya karon..

Main ne khak_e_nasheman ko bose deye,
Aur kah kar yeh dil ko samjha liya..
Aashiyaan bana na mera kaam tha,
Koi bijli girae to main kiya karon..!

Main ne mangi thi yeh masjadoon main duaa,
Main jise chahta houn woh muj ko mile..
Jo mera farz tha main ne poura kiya,
Ab KHUDA hi na chaee to main kiya karon..!

Na lage jaam pe hath yeh shart hai,
Jae jo mehkade ko woh kamzarf hai..
Muj ko tohmat na do main sharabi naheen,
Woh nazar se pilaeen to main kiya karon..!

Ishq,emaan donoo main tafreeq hai,
Par in hi donoo pe mera emaan hai..
Jo KHUDA ruthe jae to sajde karon,
Aur sanam ruthe jaee to main kiya karon..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.