Main Kabhi Na Tujhe Bhulaunga

Written By:- Kabir Shayar

Apni muhabbat ko main pal-pal sajaunga,
Teri har baat ko apni muskurahat banaunga…!
Tere dam se hai mera dam,
Yaad rakh main kabhi na tujhe bhulaunga…!

Meri arzuon ko samajh jana ‘jaana’,
Main tumse keh na paaunga…!
Meri pareshaniyon me tum sahara apna dena,
Kisi doosre ke sahare main jee na paaunga…!
tere…………………..dam
yaad rakh………………..bhulaunga

Mere jazbaaton ko samajh jana ‘jaana’,
Nahin hai taaqat itni jo sabko bataunga…!
gar jo main rooth jaauun, to ye na samajhna,
Phir kabhi main tujhse rooth jaunga…!
tere………………….dam……
yaad………………….bhulaunga…..

Mere khwabon ko poora kar jana ‘jaana’,
Main apne khwabon mein sirf tujhe bulaaunga…!
Har aas har pyas tujhse hai,
Dekhlena ek din tere liye mar hi jaaunga…!
tere…………………dam
yaad ………………..bhulaunga

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.