Dekh Kar Tuj Ko

From:- Saba Sagar

Bhul sakta naheen dil mera Mohabbat teri,
Aaj jo kuch bhi houn main..
Yeh hay enayat teri..!

Dekh kar tuj ko main gham,
Dil k bhula deta houn..
Raat din tuj ko main jene ki,
Duaaa deta houn..!

Tere hontoon pe naye phool Khilane k liye,
Tuj ko duniya main juda Sab se banane k liye..
Piyar apna teri aankhoon main,
Saja deta houn..!

Cheen sakta naheen ab muj se,
Mera piyar koi..
Piyar ki rah main aye gi Na dewaar koi..
Main kasam khaa k,
Zamane ko bata deta houn !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.