Pyar ki Talaash

Main talashtaa hu apne yaar ko…
Kahi to hoga, koi to hoga…
Jo pukarta hoga mere naam ko…

In waadiyo se puchta hu…
Uske ghar ka pataa…
Koi to hai is jahaan me…

Jo mujhe bhi dhoondhta hoga apni yaadon me.
Main talashtaa hu apne pyaar ko…
Main talashtaa hu apne yaar ko…

Koi to hai jo karta hoga mera intezaar…
Koi to hai jo hoga bekaraar…
Koi to hai jo samajhta hoga yeh khaamoshiya

Jiska dil bhi dhadakta hoga mere dil ke saath
Main talashtaa hu apne pyaar ko…
Main talashtaa hu apne yaar ko…

Wo manzil bhi mujhe pukaarti hogi…
Wo raaste bhi muje dekhte honge…
Koi to hai, jinki baahon ko
Hoga sirf mera intezaar

Main talashtaa hu apne pyaar ko…
Main talashtaa hu apne yaar ko…

Author: ash

Leave a Reply

Your email address will not be published.