Khamosh Palkon Par

From:- Vandana (CSMS)

Khamosh palkon pe dariya ruka hai abi,
Tumhare intezar me ek lamha ruka hai abi..!

Sadiyon ka faasla to tay ker liya hum ne,
Sirf do qadmo ka safar ruka hai abi..!

Waqt ke sagar pe rawan ho tum yeh jan lo,
Tumhare pyar ke liye ek shaks ruka hai abi..!

Ajao k zindagi tamam na ho jye meri,
Baray ehtamam se mout ko tala hai abi..!

Sadaain de de ke bay aawaz na ho jaon kahin me,
Ajao laut ke ek jumla meri zuban pe ruka hai abi..!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.