Zindagi Dhal Gai

From:- Saba Sagar

Shair hota hay ab mahinoon main,
Zindagi dhal gai mashinoon main..!

Piyar ki roshni naheen milti,
In makanoon mai,in makinoon main..!

Dekh kar dosti ka hath bharao,
Saanp hote hain aastinoon main..!

Kahir ki aankh se na dekh in ko,
Dil dharakte hain aabginoon main..!

Aasmanoon ki khabar ho YARAB,
Ek naya azm hay zaminoon main..!

Woh mohabbat naheen rahi”Jalib”,
Ham safiroon main,ham nashinoon main..!!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.