Yehi To Hain Jo Mera Dil

From:- Saba Sagar

Jin ko dhundh rahi hay nigah-e-shoq meri,
Jo ban k ajnabi mahfel main aye bathe hain..!

Nigah niche kiye sar jhukae bathe hain,
Yehi to hain jo mera dil churae bathe hain..!

Ruka ruka sa tabasum jhuki jhuki nazreen,
Jo raaz choup naheen sakta choupae bathe hain..!

Bare haseen tasawar main kho gaya houn main,
K jaise woh mere pahlo main aye bathe hain..!

Kabhi mile the kaheen un ko yaad to ho ga,
Sadaeen dil ki jo dil main dabae bathe hain..!
Yehi to hain jo mera dil churae bathe hain !!

If you like this shayari, Please like and share on Facebook

 
   

Please Like MailShayari on Facebook

Mail Shayari on Facebook

Leave a Reply