Sehmi Sehmi Si Khwahishain

From:- Indresh Tiwari

Main is taraf se guzar raha tha to main ne soacha,
K tujh se mil loon…
Salam keh doon..
K sehmi sehmi si khawahishon ka zamana,
Ab to guzar chuka hai..!

Woh no jawan tujh ko yad ho ga,
Jhuki jhuki si nigah jis ki..
Jo tere chehre pe per bhi jati to yun bikharti,
K farsh pe gir k jaisay aaina toot jae..!

Mujhe bhi yad wo aik lerki,
K jis k jism aur pairhan main,
Hamesha ik kashmakash si rehti..

Mujhe hamesha yeh khauf rehta,
K chandni aur barf mil ker jo ik sarapa sa ban gaya hai..

Hazaron moonh zor khawahishon ki,
Hararaton se kahin pighal na jae..!

Main is liye tujh se door rehta tha,
Aaj laikin koi bhi khwahish koi tammana nahin..
Jo rasta zuban ka roke

Na ab meri aarzoo sharabi na ab teri aankh main sabu hai,
Sitam guzida qarar main hoon, khazan guzida bahar tu hai..

Lehaza kehne de ab to itna,
Tu jab haseen thi, main jab jawan tha..
Main tujh pe merta tha,
Pyar kerta tha,

Aaj to bas……… ……… ……
Main is taraf se guzar raha tha to main ne soacha,
K tujh se mil loon..
Salam keh doon,
K sehmi sehmi si khawahishon ka zamana,
Ab to guzar chuka hai !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.