Us Ne Kaha

From:- Indresh Tiwari

Usne kaha..tum mei pehli si baat nahi,
Maine kahaa zindagi mei tera sath nahi..!

Usne kahaa ab bhi kisi ki ankhon main doob jate ho?
Maine kahaa ab kisi ki ankh main woh gehraii nahi..!

Us ne kahaa kyun itna toot kar cahaha mujhe,
Maine kahaa .insaan hoon patthar tou nahi..!

Us ne kahaa kya main bewafa hoon?
Maine kahaa mujhe ab wafa ki talaash hi nahi..!

Us ne kahaa bhool jaoge mujh ko?
Maine kahaa tum haqiqat ho, koi khwaab nahi !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.