Majboori Ka Mousam

Majburi k mousam main bhi jina parta hay
Thora sa samjhota janam karna parta hay

Kabhi kabhi is had tak bhar jati hay lachari
Lagta hay yeh jewan jasey bojh ho koy bhari
Dil kehta hay royein lekin hansna parta hay

Kabhi kabhi itni dhundhali ho jati hain tasverain
Pata naheen chalta qadmon main kitni hain zangirain
Paoun bandhy hoty hain phir bhi chalna parta hay

Ruth k jane wala badal tuutne wala tara
Kis ko khabar in lamhon main ban jaye koun sahara
Duniya jaisi bhi ho rishta rakhna parta hay!!!
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.