Kabhi Tumne Ye Socha Hai

From:- Mohd Anwar

Kabhi tumne ye socha hay,
Kabhi tumne ye dekha hay k lafzon main
K lafzon se tasaadum kaise hota hay
Tabaahi kaise aati hay
Wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta’aluq jorrtay hain
Dilon main rabt rakhtay hain
Or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den
Wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain
Wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain
Bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay
Behnen bayn karti hain
Pahaarron se jawaan bhai
Unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain
To maayn aasmaan sar pe utthaati hain
Yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain
Farishte kaanp jaatay hain
Yahi alfaaz phir allah ki rehmat main ddhalte hain
Hamaaray din badalte hain
To phir ye sochna hoga
To phir ye dekhna hoga
K ye alfaaz khud qaatil nahi hotay
K ye alfaaz khud andhay nahi hotay
Ye alfaaz khud zaalim nahi hotay
Magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain
Magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain
Baseerat se
Diyaanat se
Sadaaqat se
Muhabbat se
Ta’alluq torr lete hain….

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.