Ho Gai Hai

From:- Saba Sagar

Na ham tum se juda hain,
Na tum ham se juda ho..
Rasaai ho gai hai..

Jawani gaa rahi hai umangoon k tarane,
Haqeqat ban gaee hain mohabbat k fasane..
Tumhi nagma ho mera tumhi dil ki sada ho,
Rasaai ho gai hai..!

Bahareen har taraf hain bara rangeen safar hai,
Nirali manzeloon ka anokha rahguzar hai..
Mere tum rahbar ho mere tum rahnama ho,
Rasaai ho gai hai..!!

Tumare hath main ab rahe ga hath apna,
Rahe ga zindagi bhar yunhi ab sath apna..
Tumhi jaan_e_tamana tumhi jaan_e_wafa ho,
Rasaai ho gai hai !!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.