Ek Sham

From:- Saba Sagar

Ek sham yahan kiya dekha,
Takoon main deye jalte the..!

Phloon se saji ek mehfil thi,
Sapne se kahi dhalte the..!

Aur aaj yahan kiya dekheen,
Har taak main gham palta hay..!

Na woh phool rahe na woh deep rahe,
Yadoon ka dhunwa jalta hay..!

Ek pal shohrat ki kaliyaan
Ek pal zelat k kante
Yeh sare bhar pal shole
Qudrat ne kaise bante

Ek sans hay gerti shabnam
Ek sans hay aag ka darya
Ek dharkan sher_o_nagma
Ek dharkan aah_o_geriya

Koi meri nazar se dekhe
Duniya ki haqeqat kiya hay
Mere tuute huwe dil se pouche
Insaan ki kimat kiya hay

Har subha qaza ka mousam
Har phool k sath khizaan hay
Har sham fana ki aandhi
Har deep k sath dhunwa hay

Apni apni manzel par
Har rah semant jaye gi
Jale phloon ki bujhe depoon ki
Yeh yaad bhi mitt jaye gi

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.