Dasht ka Viran Safar

From:- Saba Sagar

Ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya… awaragi,
Is dasht main ik shahar tha wo kya hua… awaragi..

Kal shab mujhe be-shakl si awaz ne chaunka diya,
Main ne kaha tu kaun hai us ne kaha… awaragi..

Ik tu ki sadiyon se mere hamrah bhi hamraz bhi,
Ik main k tere nam se na ashna… awaragi..

Ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka viran safar,
Ham log to ukta gaye apni suna… awaragi..

Ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab,
Sahara k bhigi ret par main ne likha… awaragi..

Le ab to dasht-e-shab ki sari wusaten sone lagin,
Ab jagna hoga hamain kab tak bata… awaragi..

Kal rat tanha chand ko dekha tha main ne khwab main,
‘Mohsin’ mujhe ras ayegi shayad sada… awaragi !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.