Damini Ki Yaad Me Shayari

Damini tu ladti rhi aur tu khub ladi,
Bhagwan ki har zidd ke aage tu khub aadi..
Par fir bhi bhagwan ne apna nirdayi roop dikha diya,
Tujhe zindagi ki iss jung mein hra diya..
Par tu ghabra mat,
Tu abhi bhi hmari rag rag mein zinda hai,
Dekh tere har gunehegaar ke gaale mein fansi ka fanda hai..

Ab sarkar ke dil mein bhi insaniyat jhanki hai,
Unn doshiyo ka ab bas suli par chadna baki h..
Jaldi unhe unke anjaam tak pahunchaya jayega,
Uss din tumhe aur tumhari rooh ko insaaf dilaya jayega..

Jb vo darinde apne paapon ke hisab kitab ke liye uper aayenge,
Apne aap ko bachane ke liye rabb ke aage bahut gidgidayenge..
Par na tum kamjoor padna aur
na rabb ko kamjor hone dena,
Ek baar fir se apna astitav ko mat khone dena..

Kehna bhagwan ko ki swarg to kya,
narak mein bhi inhe panah na mile,
Narak mein chle gye agr to narak ko jyada bda narak na bna de..
Vha par kahi fir se kisi aurat ke saath na aisi darindagi krde,
Chahe koi bhi gandagi ho vaha,
Par ye wali gandagi se na narak ko bhar de..

Aaj tujh se hm sb ka ik waada hai,
Waade se bhi jyada hmara ye irada hai..
Sangharsh ke ye 14 din hm na bhulayenge,
Unn darindo ko khoon ke aansu rulayenge,

Unko hm fansi dilayenge,
Tujhe insaaf dilayenge,
Har darinde ko mitayenge,
Iss desh ko saaf suthra banayenge,
Tere liye apne aakhri dam tak ladd jayenge..

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.