Chalo So Jayeen

From:- Saba Sagar

Dhal gaya chand gai raat chalo so jaeen,
Ho chuki un se mulaqaat chalo so jaeen..!

Dour tak gounj naheen kisi shaynai ki,
Lut gai aas ki baraat chalo so jaeen..!

Loog ikraar_e_wafa kar k bhula dete hain,
Yeh naheen koi nai baat chalo so jaeen..!

Jo hai bedaar yahan us pe hai jena bhari,
Maar daleen ge yeh hallat chalo so jaeen..!

Ham ne kiya kuch na sar_e_sham kaha tum se “qateel”,
Akhir_e_shab na malo hath chalo so jaeen !!!

If you like this shayari, Please like and share on Facebook

 
   

Please Like MailShayari on Facebook

Mail Shayari on Facebook

Leave a Reply