Bhul

From:- Saba Sagar

Ufaq par dhundlake
Shafaq main alao
Ghataoon main shole
Chaman main babool

Baharoon pe ser ser k ghambeer saye
Nazaroon k daman main nakbat basaye
Diloon par udasi
Demagoon main uljhan
Khayaloon main talkhe
Nigaheen malool
Har ek semat veraniyoon ka nazool
Jalata raha main andhroon main shameen
Kehlata raha khaarzaroon main phool

Shoaoon se tarekhiyon ko ujale
Kharabon pe tahmeer ka aks dale
Bare zakhm kha kar
Magar muskara kar
Kiye zindagi ne hawadas qabool
Urati phiri dasht wa sehra ki dhool

Wohi waqt ki sust raftaar
Gardash wohi
Mout ki rahguzaroon ka towl
Wohi chaar so dhake dhake alao
Wohi gulestaan main
Khezaoon ka rachao
Wohi chand taroon pe khn dhundlake
Wohi zulmatoon ka porana asool
Magar koun samje yeh kis ki thi bhul ?

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.