Urdu Shayari in Hindi (Wo Shakhs)

Mere liye to harf-e-dua ho gaya wo shakhs,
Saare dukhon ki jaise dua ho gaya wo shakhs..!

Main aasman per tha to zameen ki kashish tha wo,
Utra zameen per to hawa ho gaya wo shakhs..!

Main us ka haath dekh raha tha k dafatan,
Simta,simat k rang-e-hina ho gaya wo shakhs..!

Phirta hai le k aankh ka kashkol dar badar, 
Dil ka bharam luta to gada ho gaya wo shakhs..!

Youn b nahi k pass hai mere wo hum nafas,
Ye b ghalat hai k muj se juda ho gaya wo shakhs..!

Perhta tha main namaz samj ker usey’rasheed’,
Phir youn howa k muj se qaza ho gaya wo shakhs..!
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.