Ujaalon ki Tamanna na Karo

From:- Love Play
Ghazal:- Kamraan Najmi sahab

Zulmat-e-shab mein ujaalon ki tamanna na karo,
Khvaab dekhaa hai to ab khvaab ko rusvaa na karo..!

Bojh suraj ka padega to lachak jaayengi,
Raat ki surmai shaakhon pe baseraa na karo..!

Khvaab, ummid, nasha, saans, tabasuum aansu,
Tutne vaali kisi shay pe bharosa na karo..!

Ham ne aankhon ko jalaaya tha ki kuch dhundh chhate,
Tum nai nasl ke suraj ho tum aisa na karo..!

Ashk pine ka hunar sikh lo ham se aakar,
jazba-e-dil ko nigaahon se haveda na karo (haveda = express)..!

Mausami barf hain kuchh der mein bah jayenge,
In badalate hue rishton pe bharosaa na karo..!

Ye fazaa raas na aayegii tumhen ae “Najmi“,
Yaad guzre hue lamhaat ki taaza na karo !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.