Tera Sath

From:- Kabir Shayar

Tere saath judkar bhi koi kya juda hoga,
Tujhe seene me basane ki aarzu ham rakhte hain..!

Koi muqaddar ka sikander banta hai to ban jaye,
Tujhse to bas dil lagane ki aarzu ham rakhte hain..!

Jaana’ teri gulami bhi karloon pasand hai mujhe,
Teri khidmat me jaan lutane ki iltija ham rakhte hain..!

Tu agar muskuraye to ye khizaa bhi gul-e-gulzaar ho jaye,
Tere chand se chehre pe muskurahat barkarar rahe, arman yahi rakhte hain..!

Tu karde sar qalam mera uff nahi karunga,
Itni muhabbat seene me tere liye ham rakhte hain..!

Tu Jab chale to banjar zameen bhi khil uthe baharon ki tarhan,
Teri thokron me rehne ki bhi manzoori ham rakhte hain..!

Teri zulfen jo suljhen to theek , gar ye uljhe to koi mosam-e-bahar nahi,
Teri in zulfon ki chhaon me sone ki aas bhi ham rakhte hain..!

Jaana’meri jaanib se na kabhi pohonchegi kabhi takleef bhi tumhe,
Gar yakeen na aaye to lo nikal ke seene se dil apna,
Saamne tumhare aaj rakhte hain..!!!
kabir_shayer@yahoo.com

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.