Mili hai Jab se Teri Chahat Mujhko

Meh tabaan k humrah ek sitara sath rahta hai,
Mohabbat k safar main yeh shumara sath rahta hai..

Bhanwar ki good main jaise kinara sath ho,
Kuch aise hi tumara aur hamara sath rahta hai..

Koi jalwat ho khalwat ho usi se mashwara ho ga,
Meri har kafiyat main dil tumara sath rahta hai..

Safar main zindagi k jab koi rakht e safar bandha,
Duaoon ka tumari aur hamara sath rahta hai..

Mili hai jab se teri chahatoon ki saltanat muj ko,
Nazar main tere cheare ka nazara sath rahta hai..

Laboon par ab mere teri mohabbat hi mohabat hai,
Teri chahat teri ulfat ka dharaah sath rahta hai..

Tere taqudes muj ko saya e Mariam ki mandeend hai,
Teri hirmat ka esa yun pyara sath rahta hai..!!
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.