Khoobsurat Nazrein Shayari Hindi

Ye nazrein tumhari bahut khoobsurat hain
Kisi ki inhe kabhi lage na nazar

Hum tere sang hain duniya kya karegi,
Ek jaan hain hum judaa kya karegi
Mohabbat mai ashiq badnaam hote hain,
Humko bhala ye ruswa kya karegi
Badi humpe to yara rab ki inayat hai,
Ghabra ke kabhi bhi jhuke na nazar
Ye nazrein tumhari bahut khoobsurat hain,
Kisi ki inhe kabhi lage na nazar

Yon hi nibhana tu vada wafa ka,
main toh hoon dewaana teri har adaa ka
Mohabbat sanam mujhpe yon hi lutana,
tu toh hai gukshan mere jahan ka
Mera hi khwaab ho aankho mein teri,
Kisi aur se lade na nazar
Ye nazrein tumhari bahut khoobsurat hain,
Kisi ki inhe kabhi lage na nazar

Diwaana mujhko sanam banati rahna,
hotho ki kaliya yon hi khilati rahna
Yon hi nazar teri pukare mujhe bus,
yon hi har adaa pe tu sharmati rahna
Yon hi jhuki rahe sharma ke ye aankhe,
Behayai se kabhi uthe na nazar
Ye nazrein tumhari bahut khoobsurat hain,
Kisi ki inhe kabhi lage na nazar
From:- Sandeep Tyagi

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.