Dewangi Apni

From:- Saba Sagar

Tumari anjuman se uth k dewane kahan jatey,
Jo wabasta huwe tum se woh afsane kahan jatey..!

Nikal kar dair wa kahba se agar milta na mahkhana,
To thukraye huwe insaan KHUDA jane kahan jatey..!

Tumari berukhi ne laaj rakh li badakhane ki,
Tum aankhon se pila detey to pahmane kahan jatey..!

Chalo acha huwa kaam aa gai dewangi apni,
Wagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jatey..!

“Qateel”apna muqader gham se begana agar hota,
To phir apne paraye ham se pahchane kahan jatey..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.