Wo Aaye Hamari Kabar Par

From:- Rahul Tiwari

1) Wo aaye hamari kabar per diya bujha gaye,
Wo aaye hamare kabar per diya bujha gaye,
Aur diye me jo tel tha sir pe laga gaye !

2) Taza hawa ka jhoka aaya.. Khushbu teri sath laya…
Phir mere dil me khayal aaya..
Ki lagta hai ki…aaj bhi tu.. Nahi “nahaya”…!

3) Mumtaj ki kabar ko dekh k har aashiq ko,
mohabbat ki misal nazar aati hai….
Hum kis-kis ke liye tajmahal banwayein ???
Hume to har ladki mumtaj nazar aati hai…..!

4) Is kadar hum aapko chahte hain,
Ki duniya wale jal jaate hai…
Yu to hum sabko ullu banate hain…
Par aap jara jaldi ban jaate hain…..!

5) Ajeeb si kashish hai app me ki,
Hum aap ke khayalo me khoye rehte hai…
Ye soch ke aap khwabo me aaye,
Hum din me bhi soye rehte hai…..!

6) College ki life me kai yaar milte hai,
Usme kuch kamine to kuch dildar milte hai..!
Agar achhe se padhai ki to koi bante hai doctor to koi engineer,
Warna darzi ki dukan per baith kar salwar silte hai…!!

7) Tumko dekha to ye khyal aaya,
Tumko dekha to ye khyal aaya,
Tumko dekha to ye khyal aaya,
Tumko dekha to ye khyal aaya…
Ki tumko dekhkar hi ye khyal kyon aaya.?

8) Arz kiya hai….ki..
Aaj aasman me taare aise chamak rahe hai,
Aaj aasman me taare aise chamak rahe hai,
Jaise kal chamak rahe the…..!!!!!

9) Tajmahal kya cheez hai mai to usse bhi bara mahal banaunga,
Arre mumtaz to mar k dafan hui thi…..
Mai to tujhe zinda hi dafanaunga…!

10) bas kya yehi tak hai saath humara,
Intezar karte rahenge hum tumhara…!
Ki kab hogi is kambhakt mobile mein roshini,
Aur kab aayega message tumhara…!

11) Jab tumhara sms aata hai,
Mera rom-rom machal jaata hai,
Ang-ang mein gudgudi hoti hai…!
yeh sms ka kasoor nahi hai,
Kambakht mobile hi vibration par hota hai…!

12) Aaj ye baat samajh aai,
Is dharti par aapki hukumat samajh aai…
Aapko dharti par bhejna khuda ka bahana tha,
Kyun ki ravan k baad kisiko ana tha…!

13) Sitam dhane ki had hoti hai,
Pas na ane ki – ruth jane ki hadh hoti hai..
Ek sms to kar de jalim,
Paise bachane ki bhi hadh hoti hai..!

14) Wo bhi kya din the jab log tujhe chumte the,
Par haay re teri futi kismat us waqt tu sirf 2 saal ka tha !

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.