Udaas

From:- Mani Ali, Rawalpindi

Wo Jo Dawaydar Hai Sheher main K Sub Ka Nabz-Shnaas Hu
Kbhi Mujh Se Se Aa K To Puchta K Mein Kis K Ghm main Udas Hu
Ye Meri Kitab-e-Hyat Hai isy Dil Ki Aankh Se Prrh Zra
Mein Vrk Vrk Tere Samney Tere Ru-Ba-Ru Tere Pas Hu

Ye Teri Umeed Ko Kya Huwa Kbhi Tum ne Ghor nhi Kiya
Kisi Sham Tum ne Kaha To Tha Teri Sans Hu Teri Aas Hu
Ye Teri Judai Ka Ghm nhi Ye Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat is Ka Sbab nhi, Mein Kuch Din Se Yun He Udas Hu.

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.