Hamesha Muskura Kay

From:- Mohd Anwar

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya,
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya..!

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab,
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya..!

Mehfilon main kahin bhi maza na raha,
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya..!

Baat bay baat apni aahain daba ker,
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya..!

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki,
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya..!

Kya muqadar say shikwa kertey rahain,
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya..!

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain,
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya..!

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin,
Ghairon nay aaker galay say lagaaya..!

Acha hua kay raaz khul hi gaya,
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya..!

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki,
Dil kay tukrey huay wo chun’ney na aaya !!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.