Gham ke Siwa Kuch Nahi Mila

Duniyan main hum ko Gham k siwa kuch naheen mila,
Chere badal k dekh liya Kuch naheen mila..

Apne lahou se hum ko Mili hain tabahiyan,
Nas nas main rach gai hain Jahan ki buraiyan,
Sab kuch luta k dekh lia Kuch naheen mila..

Jaisa banaya ban gaya Main beqasoor hun,
Manzil k paas rah k bhi Manzil se duur hun,
Manzil pe ja k dekh liya Kuch naheen mila..

Surat wohi rahi meri Sirat badal gayi,
Jitni bhi zindagi thi Woh sagar main dhal gai,
Sagar main bhar k zehar piya par Kuch naheen mila..
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

4 thoughts on “Gham ke Siwa Kuch Nahi Mila

  1. Gham Me Hansne Walon Ko Rulaya Nahi Jata ,, Lehron Se Pani Hataya Nahi Jata ,, Hone Wale Toh Ho Jate Hein Khud Hi Apne ,, Kisiko Apna Keh Ker Banaya Nahi Jata ,, SM

  2. Haqeekat Na Pucho Mere Fasane Ki ,, Ek Tujhse Juda Hote Hi Badal Gayi Nazar Yeh Zamane Ki ,, Aur Log Puchte Hein Ki Tu Khush Q Nahi Hai ,, Kya Kahu Meri Toh Aadat thi Ek Tere Sang Muskurane Ki ,, SM
    Misss u Simran ,,

  3. Dard Banke Dil Me Chupa Hai Koun ,, Reh Reh Ker Isme Chubta Hai Koun ,, Ek Taraf Dil Hai Aur Ek Taraf Aayina Hai ,, Ab Dekhna Hai Ki Is Baar Pehle Toot ta Hai Koun ,, SM

Leave a Reply

Your email address will not be published.