Dur Jana Chahta Hun

Ulfat-E-Gumon se gujarti hai ye meri zindagi,
Ke ab khaak main simat jaana chahta hun….!

Na dhund sake koi mera wazood,
Is tarha sabki yaadon se nikal jaana chahta hun….!

Chaahat bhari thi is dil main itni
pathar jamane ne kuchal daali,
Nahi gila kisi se ab koi…
ke main khudh ko mita jana chahta hun….!

Ab Gum-E-Zindagi main doob jaana hai,
ke ab yaad na rahe hame kaun apna kaun praya
kaya paaya aur kaya khoya,
Sab bhula dena chahta hun….!….!….!….!….!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.