Dukh

From:- Mani Ali, Rawalpindi, Pak

Kya andheron ke gham kya ujalon ke dukh,
Jab hra dein muqaddar ki chalo k dukh…!
Jinki aankhen nahi wo na roein kabhi,
Jaan jaein agar aankh walo ke dukh…!

Meri manzil hai kahan, mera hum-safar hai kidhar,
Maar dalen gey ab in sawalo k dukh…!
Tum miley ho tumhari mohabat nhi,
Hijr se barrh gye hain visalo ke dukh…!

Do ghrri ke liye pas betho agar,
Bhul jaye ga dil kitny salo ke dukh…!
Meri socho ke jalty huway dasht se,
Cheen le aa ke apne khyalon ke dukh…!..!!.!!!!

Author: ShineMagic

3 thoughts on “Dukh

  1. Raat kya dhali taare chale gaye
    Gairo se kya gila jab apne chale gaye
    Jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi
    Par unhe jitane ke liye hum harte chale gaye

Leave a Reply

Your email address will not be published.