Wo Bewafa

From:- Indresh Tiwari

Ik bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai,
Is dil me saja kar unki ek tasveer rakhi hai..!

Na de sake wo insaaf hamari wafa ko,
Fir bhi kadmo mein unke hamne hamari takdeer rakhi hai..!

Nadani pyar mein hamne esi kar rakhi hai,
Ke ik bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai..!

Author: ShineMagic

5 thoughts on “Wo Bewafa

  1. Kaash Hum Is Kalam Se Shayari Likhne Ki Jagah Apni Taqdeer Likh Sakte,
    To Aaj Hum Itne Bade Gulistan Mein Ek Phool Ke Liye Nahin Taraste
    Kaash Hum Is Kalam Ko Talwaar Banakar Duniya Se Ladai Kar Sakte,
    To Aaj Hum Sharabi Devdas Bankar Thokarein Khate Nahin Firte
    Kaash Hum Apni Kalam Ki Sihaai Se Barsaat Kar Sakte,
    To Aaj Hum Apni Registan Jaisi Zindagi Ko Saawan Bana Dete

  2. Unki Yaadon Main Sham Nikli
    Rataain Bhi Unke Naam Nikli
    Kho Diya Sub Kuch Pyar Main
    Hamari Saanse Bhi Unke Naam Nikli.

  3. Jisko Samajh Kar Zehar Bar Bar Piya
    Woh Gamoo Ke Saye Main Doobi Sharab
    Nikli,Unki Judai Ka Gham Itna Gehra Tha Ki
    Rab Le Ja Mujhe,Baar Baar Honto Se Yahi Awaaz Nikli.
    Dil Ke Sannate Main,Yadoo Ki Barrat Nikli
    In Suni Palkon Par Ansuo Ki Bahaar Nikli
    Roye Hum Itna Unki Yaad Main Ki,Har Ik
    Ansu Se Rone Ki Aawaz Nikli.

  4. Mera Naam Hai Sharabi
    Mera Ghar Hai Maikhana
    Zindagi K Saare Gam Mai
    Ek Sharab Me Peeta Hoon
    Mai Hoon Ek Sharabi
    Maikhane Mai Raheta Hoon
    Tanhai Mitane K Liye
    Sharab Se Mohabbat Kar Li
    Ghar Basane K Liye
    Maikhane Se Shaadi Kar Li
    Mera Naam Hai Sharabi
    Mera Ghar Hai Maikhana
    Gum Jitane The Zindagi Mein
    Sharab Aane Se Chale Gaye

Leave a Reply

Your email address will not be published.