Usne

From:- Mr Virgo

Meri zindgai ko ik tamasha bana diya usne,
Bhari Mehfil mein tanha bitha diya usne..!

Aisi kya thi nafrat usko is masoom Dil se,
Khushiyan chura kar gham thama diya usne..!

Bahut Naaz tha uski wafa pe kabhi humko,
Mujhko hi meri nazroon mein gara diya usne..!

Khud bewafa thi meri Wafa ki kya qadar karti,
Anmol tha main khaak mein mila diya usne..!

Kisi ko yaad karna to uski fitrat mein shamil nahi,
Hawa ka jhonka samajh kar bhula diya usne..!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.