Uski Yaad Dila Di Barish Ne

From:- Prince Salman

Aaj phir mujh ko uski yaad dila di barish ne,
Dil mai jo bhool ki aag thi bhuja di barish ne…!

Main tanha tha apne shar ma zamane se door,
Mager mere ghar ki dewar saja di barish ne…!

Us ke zikar se ho gai meri aankhen num,
Mager doston mai ye sari baat chupa di barish ne…!

Suna hai wo bi roya hai aaj bohat,
Lagta hai un ko meri yaad dila di barish ne…!

Wo bewafa hoe to phir kya hoa “DOSTO”,
Aaj mere sath ro kar wafa nibha di barish ne…!.!!.!!!!

If you like this shayari, Please like and share on Facebook

 
   

Please Like MailShayari on Facebook

Mail Shayari on Facebook

Leave a Reply